Ads Top

Mantra Lyrics

Kisne Ye Jaana Hai

Ye Kitna Purana Hai

Jaata Kahan Ye Silsila

Phir Se Na Aana Hai

Ye Kitna Suhana Hai

Pal Ye Jo Humko Hain Mila

Is Pal Mein Aaon Khud Ko

Jaan Le Pehchan Le Hum

Aaon Dekhe Jeevan Ke Rang Sabhi

Bhule Na Beeti Jo Thi

Dekhenge Hoga Jo Abhi

Pehle Jaane To Sahi

Kya Hai Tera Mantra


Hai Jeet Kya Aur Haar Kya

Gham Aur Khushi Ke Paar Kya

Hai Megh Ke Aasar Kya

Toofan Kya Majhdaar Kya

Hai Baadlon Ke Paar Kya

Koi Aur Bhi Sansaar Kya

Bas Jaan Lo Hai Pyaar Kya

Hai Mera Mantra


Dekho Pukare Tumhe Nabh Ke Sitare

Baahein Failaye Aasman

Behti Hawaein Tumhe Kehti Fizaayein

Dekho Thaame Na Kaarwan

Le Kar Chal Yaadein Kal Ki

Karta Chal Tu Waade Kal Ke

Kismat Mein Tere Kadmo Ke Nishan

Dekhenge Aane Waale

Manzil Ko Paane Waale

Poochenge Chalne Waale

Kya Hai Tera Mantra


Mehnat Bhi Hai Himmat Bhi Hai

Thodi Si Haan Kismat Bhi Hai

Aankhon Mein Hai Kuch Khwab Bhi

Aur Seene Mein Hasrat Bhi Hai

Hain Saason Ka Aadhar Kya

Aur Zindagi Ka Saar Kya

Bas Jaan Lo Hai Pyaar Kya

Hai Mera Mantra


Aao Na Socho Na

Dil Se Mita De Sab Faasle

Sarhad Na Mazhab Na

Hum Sab Range Ho

Ek Rang Mein Ek Rang Mein


Tera Hai Apna Kya

Tera Paraya Kya

Teri Hi Aasha Kya

Tera Hai Jeevan Kya

Tera Hai Sapna Kya

Tera Hai Ishwar Kya

Teri Hai Bhasha Kya

Tera Hai Mantra Kya


Saas Ka Aadhar Kya

Aur Zindagi Ka Saar Kya

Bas Jaan Lo Hai Pyaar Kya

Baadlon Ke Paar Kya

Koi Aur Bhi Sansaar Kya

Bas Jaan Lo Hai Pyaar Kya

Hai Mera Mantra


Jeet Kya Aur Haar Kya

Gham Aur Khushi Ke Paar Kya

Hai Megh Ke Aasar Kya

Toofan Kya Majhdaar Kya

Hai Baadlon Ke Paar Kya

Koi Aur Bhi Sansaar Kya

Bas Jaan Lo Hai Pyaar Kya

Hai Ye Mera Mantra


Saas Ka Aadhar Kya

Aur Zindagi Ka Saar Kya

Bas Jaan Lo Hai Pyaar Kya

Jeet Kya Aur Haar Kya

Gham Aur Khushi Ke Paar Kya

Bas Jaan Lo Hai Pyaar Kya

Baadlon Ke Paar Kya

Koi Aur Bhi Sansaar Kya

Bas Jaan Lo Hai Pyaar Kya

Hai Mera Mantra

Saas Ka Aadhar Kya

Aur Zindagi Ka Saar Kya

Bas Jaan Lo Hai Pyaar Kya

Hai Mera Mantra

Jaan Lo Hai Pyaar Kya

Bas Jaan Lo Hai Pyaar Kya

Haan Jaan Lo Hai Pyaar Kya

Hai Mera Mantra.

 

No comments:

Powered by Blogger.