Ads Top

Ae Mere Hum Nasheen Lyrics

Ae Mere Hum Nasheen Lyrics

Aye Mere Dil Kisi Say Bhi Shikwa Na Kar,

Aap Bulandi Pay Tera Sitara Nahin

Ghair Ka Zikr Kia, Ghair Phir Ghair Hai,

Jo Hamara Tha Woh Bhi Hamara Nahin


Aye Mere Ham Nasheen Chal Kahin Aur Chal Haaye,

Is Chaman Main Ab Apna Guzara Nahin

Aye Meary Ham Nasheen Chal Kahin Aur Chal,

Is Chaman Main Ab Apna Guzara Nahin

Baat Hoti Guloon Tak To Seh Lete Hum,

Ab To Kantoon Pay Bhi Haq Hamara Nahin

Baat Hoti Guloon Tak To Seh Lete Hum,

Ab To Kantoon Pay Bhi Haq Hamara Nahin

Aye Mere Ham Nasheen


Di Sada Daar Par, Aur Kabhi Toor Par,

Kis Jagah Mainay Tumko Pukara Nahin

Di Sada Daar Par, Aur Kabhi Toor Par,

Kis Jagah Mainay Tumko Pukara Nahin

Thokrain Yon Khilanay Say Kia Faida,

Saaf Keh Do Kay Milna Gawara Nahin

Thokrain Yon Khilanay Say Kia Faida,

Saaf Keh Do Kay Milna Gawara Nahin

Aye Mere Ham Nasheen


Aaj Aaye Ho Tum Kal Chalay Jao Gey,

Yeh Mohabbat Ko Apni Gawara Nahin

Aaj Aaye Ho Tum Kal Chalay Jao Gey,

Yeh Mohabbat Ko Apni Gawara Nahin

Umr Bhar Ka Sahara Bano To Bano Haaye,

Do Ghari Ka Sahara, Sahara Nahin

Umr Bhar Ka Sahara Bano To Bano,

Do Ghari Ka Sahara, Sahara Nahin

Aye Mere Ham Nasheen


Gulsitaan Ko Laho Ki Zaroorat Pari,

Sab Say Pehlay Hi Gardan Hamari Kati

Gulsitaan Ko Laho Ki Zaroorat Pari,

Sab Say Pehlay Hi Gardan Hamari Kati

Phir Bhi Kehtay Hain Mujh Say,

Yeh Ahl-e-chaman Haaye,

Yeh Chaman Hai Hamara, Tumhara Nahin

Phir Bhi Kehtay Hain Mujh Say,

Yeh Ahl-e-chaman,

Yeh Chaman Hai Hamara, Tumhara Nahin

Aye Mere Ham Nasheen


Zaalimo Apni Kismat Pay Nazaan Na Ho,

Dor Badlay Ga, Yeh Waqt Ki Baat Hai

Zaalimo Apni Kismat Pay Nazaan Na Ho,

Dor Badlay Ga, Yeh Waqt Ki Baat Hai

Woh Yakeenan Sunay Ga Sadayen Meri,

Kiya Tumhara Khuda Hai Hamara Nahin!

Woh Yakeenan Sunay Ga Sadayen Meri,

Kiya Tumhara Khuda Hai Hamara Nahin!


Aye Mere Ham Nasheen Chal Kahin Aur Chal,

Is Chaman Main Ab Apna Guzara Nahin

Baat Guloon Tak To Seh Lete Hum,

Ab To Kantoon Pay Bhi Haq Hamara Nahin

Aye Mere Ham Nasheen

Apne Rukh Se Zulfain Hata Li Jiye

Mera Zouq E Nazar Azma Li Jiye

Aj Ghar Se Chala Hun Main Ye Soch Kar Haye

Y To Nazri Nahi Ya Nazara Nahi.

No comments:

Powered by Blogger.