Ads Top

Mora Saiyaan Lyrics

Sawan Beeto Jaye Peeharwa

Mann Mera Ghabraaye

Aiso Gaye Pardes Piya Tum

Chain Hume Nahi Aa Aawe


Mora Saiyaan Mo Se Bole Na

Main Laakh Jatan Kar Haari

Lakh Jatan Kar Haar Rahi

Mora Saiyaan Mo Se Bole Na


Tu Jo Nahi To Aise Piya Hum

Jaise Soona Angnaa

Naina Tehaari Raah Nihare

Nainan Ko Tarsao Na


Mora Saiyaan Mo Se Bole Na

Main Laakh Jatan Kar Haari

Laakh Jatan Kar Haar Rahi

Mora Saiyaan Mo Se Bole Na


Pyaar Tumhe Kitna Karte Hai

Tum Ye Samajh Nahi Paaoge

Jab Hum Na Honge To Peeharwa

Bolo Kya Tab Aaoge


Mora Saiyaan Mo Se Bole Na

Mai Laakh Jatan Kar Haari

Laakh Jatan Kar Haar Rahi

Mora Saiyaan Mo Se Bole Na.


No comments:

Powered by Blogger.