Ads Top

Safar Lyrics

Ab Na Mujhko Yaad Beeta

Main Toh Lamhon Mein Jeeta

Chala Ja Raha Hoon

Main Kahaan Pe Ja Raha Hoon…

Kahaan Hoon?


Iss Yaqeen Se Main Yahan Hoon

Ki Zamana Yeh Bhala Hai

Aur Jo Raah Mein Mila Hai

Thodi Door Jo Chala Hai

Woh Bhi Aadmi Bhala Tha

Pata Tha…

Zara Bas Khafa Tha

Woh Bhatka Sa Raahi Mere Gaanv Ka Hi

Woh Rasta Puraana Jisey Yaad Aana

Zaroori Tha Lekin Jo Roya Mere Bin

Wo Ek Mera Ghar Tha

Puraana Sa Darr Tha

Magar Ab Na Main Apne Ghar Ka Raha

Safar Ka Hi Tha Main Safar Ka Raha


Idhar Ka Hi Hoon Na Udhar Ka Raha

Safar Ka Hi Tha Main Safar Ka Raha

Idhar Ka Hi Hoon Na Udhar Ka Raha

Safar Ka Hi Tha Main Safar Ka Raha


Main Raha… O O…

Main Raha… Wo O…

Main Raha…


Neel Patthron Se Meri Dosti Hai

Chaal Meri Kya Hai Raah Jaanti Hai

Jaane Rozana… Zamana Wohi Rozana


Shehar Shehar Fursaton Ko Bechta Hoon

Khaali Haath Jaata Khaali Laut’ta Hoon

Aise Rozana.. Rozana Khud Se Begana…


Jabse Gaanv Se Main Shehar Hua

Itna Kadva Ho Gaya Ki Zehar Hua

Main Toh Rozana

Na Chaaha Tha Yeh Ho Jaana Maine


Ye Umrr, Waqt, Raasta.. Guzarta Raha

Safar Ka Hi Tha Main Safar Ka Raha


Idhar Ka Hi Hoon Na Udhar Ka Raha

Safar Ka Hi Tha Main Safar Ka Raha

Idhar Ka Hi Hoon Na Udhar Ka Raha

Safar Ka Hi Tha Main Safar Ka Raha


Main Raha.. Oo..

Main Raha.. Wo..


Main Raha…


Safar Ka Hi Tha Main Safar Ka Raha..

No comments:

Powered by Blogger.