Ads Top

Aankhen Meri Lyrics

Aankhen Meri Lyrics

Aankhein meri kehti hain ke

Tera hi ho bas nazara,


Tere bina ye zindagi

Jeena nahi hai gawara.


Samandar se bhi gehra

Hai aisa pyaar mera.


Kehta hai ye zamana

Main tera diwana.


Tuhi mandir

Mera madina

Main tera diwana.


Thehra

Waqt ho jaise ye thehra

Tishnagi pe

Dunia ki bandishon ka pehra.


Karde ada

Apni wafa

Ik pal bhi na

Tere bina

Yaara mere nahi mujhko jeena.


Tuhi mandir

Mera madina

Main sahil tu mera safina.


Chehra tera ho jaise sawera

Tu na ho to

Ho jaaye jaise andhera

Tere bina jeena hai ik saza.


Tuhi mandir

Mera madina

Main tera diwana.


Tuhi mandir

Mera madina

Main sahil tu mera safina.


No comments:

Powered by Blogger.