Ads Top

Woh Jahaan Lyrics

Neela Aakash Jo Ik Samandar Hai

Usme Kahin Koi Aisa Sitara Bhi Hai

Jisme Dusri Ik Duniya Ho Basi

Jisme Jagti Ho Zindagi

Par Humse Alag Humse Judaa

Ik Nishaan Bhi Na Ho Dard Ka

Jeena Jahan Ho Nahi Mushkil


Koi Rota Na Ho Chain Khota Na Ho

Na Kabhi Toote Kisi Ka Dil


Woh Jahaan

Koi Dukh Na Ho Na Ho Koi Gham

Woh Jahaan

Palkein Na Ho Namm

Dilo Mein

Hona Deeware Na Dooriya

Woh Jahaan

Poore Ho Armaan


Sab Ko Ho Yeh Pata

Sabke Dilo Me Ek Gehri Dhara Bhi Hai

Neele Aakash Me Koi Aisa Sitara Bhi Hai


Neele Aakash Ke Iss Samandar Ka

Chand Ki Kashti Mein

Maine Kiya Hai Safar

Dhoondhti Ho Agar

Tum Jo Duniya Haseen

Woh Duniya Hai Yahin

Woh Yahin Hai Kahin


Haan Magar Uske Chehre Par

Nafrat Ki Zulm Ki

Ik Dhul Hai Jamm Gayi


Haan Magar Uske Tann Pe Lipti

Lalach Ki Hai Zanzeer Toh

Ho Duniya Te Aate Tham Gayi


Uske Chehre Se Yeh Dhool Hatt Jaye To

Uske Tann Se Ye Zanzeer Katt Jaye To

Dekhna Phir Yahan

Iss Zameen Par Hi Hogi Woh Duniya


Woh Jahan

Koi Dukh Na Ho Na Ho Koi Gham

Woh Jahan

Palkein Na Ho Namm

Dilo Me

Hona Deeware Na Dooriya

Woh Jahan

Pure Ho Armaan


Muskurati Ho Chehre Par Ek Roshni

Zindagi Ho Mohabbat Bhari Zindagi.

No comments:

Powered by Blogger.